ceo in urdu ceo ki mukamal jankari

CEO ki jankari Urdu mein kese kren
G friends welcome






SEO STAND FOR Search engine optimization. Simple meaning apni site ky
visiter barhana.

P1

SEO aj kl ky dor main aik business, aik hunar aur aik fun bnta jara
hai. Web sites ka apas main compition barhta ja raha hai. companies
professional SEO masters hire kr rahe hain
. Aur nai nai SEO krny wali
companies markeet main aa rahe hain. Seo krny ka basic maqsad visiters
aur customer barhana hai. Hm aik site bna lain likin us site ka kisi
ko pata nain hota hm adsence laga kr bhet jain aur intizar krty rahen
ky koi ai aur hamary adsence pr click kr dai. Its imposiable without
SEO.

SEO aik automatic machine ky jaisy hai. K bs aik bar chala dain aur
yeh sari umar chalte rahy ge. Han Grees tu waqfy waqfy sy dalne pary
ge. Likin baat sirf apni sites ke nahi hai. Compitition ke hai. Agay
barhny ke hai. Aur SEO krty rehny ke hai. Warna apke site bohat pechay
chale jai ge. Google ky 5th, 6th page pr ajai ge jahan koi jany ke
zehmat nain krta.

P2

SEO yeh nain hai ky koi Google main apke site ka naam likhy woh aur
1st page pr ajai. SEO yeh hai k kisi bndy ko kisi software. Games,
book, ke zaroorat ho aur woh bnda google main woh software ka naam
likhay aur search Result main apke site, apka blog ajai. Ab sawal yeh
hai, ky SEO kaisy ke jai. Seo ka sb sy asan aur desi tariqa yeh hai ky
apko net main koi b site, forum, blog, mily jahan visiter sy  comments
dainy ko kaha jai. Apna site ka link wahan dai dain. SEO koi study
subject nain blky yeh Knowledge aur mind game hai. Mind hai tu ap SEO
Master.  :)


P3

SEO ky 2 parts hain, internel Seo, aur external seo, internel seo main
Site ko Search engine kelye optimize krna hota hai aur external seo
main site ko search engine main optimize krna hota hai. Internal seo
main sb sy pehly domain ate hai. Domain aisa ho k simple, thora sa
differnt aur apky visiter ko yaad rehay. Isky bad site ka design aur
templates achay hon. Ziada gehry na hon. Aur flash b km use ho.

P4

Internal seo main next keyword aty hain. Keyword head main meta tag
main likhy jaty hain. Dunya main sb sy ziada aur commen keyword "free"
hai aur new internet user google main search b free ky word sy start
krty hain. Keyword apky site ke topic ky mutabiq hony chahye. Agar
apko keyword select krny main masla aa raha hon tu ap keyword
suggestion tool aur  software use kr skty hain, Seo elite,
wordTracker keyword tool, aur Good keywords best software hain.

P5

external seo main 1st step Top search engines main site ke submissions
hote hai. Jitny b auto visiter apke sites pr ain gain. Search engines
sy he ain gain. Aur Top search engine main 1st google ata hai. Google
main site submit krny kely www.google.com/addurl/
open kren. Url main apni site ka link, comments main site ke
discription likh kr add url pr click krdain. Ise tara
yahoo,(submit.search.yahoo.com/free/request) aur msn
(search.msn.co.in/docs/submit.aspx) main apni site ka link submit
kren. Site ke submition kelye isky ilawa b bohat sy software aur
websites hain. Jahan ap apni site ko submit krky apne site ke trafic
increas kr skty hain.

P6
best site sumbitting software webceo hai. Jo ap ap webceo.com sy
download kr skty hain. Isky ilawa submitexpress.com aur addme.com main
online apni site ko submit kr skty hain. Site submit hony ky 3, 4 din
bad apke site search engines main show ho jai ge. Site submition apke
site ko high trafic deny kelye kafi nain hai.
Blky is sy agay jahan aur b hain.
Islye site ko sumbmit krny ky bad aram sy nain bhetna blky SEO ky
dosry tariqon pr kam kren. Aur aik site ko bar bar submit krny pr
search engine apke site ko banned kr skta hai. Isky lye best way yeh
hai ky ap apny site ky pages aur directries ko submit kren. Aur next
2, 3 Month bad again submit kren.

Post a Comment

Discussion.
Post a Comment