What Is Car Insurance (Car Ki Insurance) Kaise Karaye Letest For You

What is car insurance, car insurance kya hai, car ki insurance kaise karaye, car ki insurance karane ka tarika, how to get car insurance in urdu, hind


Car-insurance-kaise-karaye


What Is Car Insurance (Car Ki Insurance) Kaise Karaye Letest For You. Yes this information (about the car insurance)  Gadi, Bike, Car, vehicle, in Sab ki insurance Se bhut fayda hota hai. So agar aapke paas car hai to better aapne allready apni car ka insurance karwa rakha hoga. Agar nahi karwaya to koi bat nahi ab karwa lena aap soch rahe honge "Car insurance" ke kya fayde hai. car insurance na karne se kya nuksan ho sakta hai. car insurance kaise le. car insurance ke liye online apply kaise kare. Preshan hone ki zrort nahi aaj ki hamari post car insurance ke bare mai hi hai post ko full read Kare Aap ko Sab information mil Jaye gi to chahiye detail mai jaante hai car insurance kya hai ?

Car-insurance-applying


Jis tarah se log apna insurance karwate hai taaki future mai kabhi bhi koi physically problem aaye to usnki insurance policy unke kaam aa sakte or unko financial help mil sake. thek usi tarah car insurance bhi karna jaruri hai. taki ALLAH na kare ki car ka kahi accident ho jaye ya fir car chori ho jaye to aise mein car insurance policy bahut kaam aati hai. to main aapse ye request karunga ki aagar aap ke pass vehicle hai to aapne vehicle ka insurance jarur karwa le. ha is kaam mai kuch paise kharch jarur hoti hai but future ki safty ke liye ye zaroori bhi hai.


What is Car Insurance? Ye Kya hai Car Insurance.

Mujhe pata hai ki aap car insurance ke bare mai jante hai. But kuch log aise Hain Jin ko nahi Pata un ko detail Ke Sath samjha determine Hain. So jab topic car insurance ke bare mai chal raha hai to car insurance kya hai is baare mein thodi baat kar le jaye. jaise log apna insurance karwate hai aapni safety ke liye liya. theek waise hi car insurance bhi hota hai. car insurance ho vehicle insurance bhi kahte hai. jaise car ka accident ho jaye ya car chori ho jaye to car insurance se hum claim kar sakte hai or hame financial help mil jate hai. to ab aap samajh gaye honge ki car insurance kya hai.



 Kitne Type Ke Hote Hai Car Insurance Loan

Car insurance kya hai or car insurance kyun zaroori hai ye to aap samajh gaye honge. ab main aapko batata hu ki car insurance kitne type ke hote hai. Car insurance 2 type ke hote hai or dono mein alag alag condition and terms hote hai.  dono ke bare mai thoda aapko bata deta hu. taki aap bi samjh jaye or apne liye better car insurance plan le.


  1. Third Party Insurance and.
  2. Comprehensive Insurance.


1.  ThirdParty Insurance : jaise ki naam se pata chal raha hai ki ye sirf third party ke liye hai. ab third party konse hoti hai ye bhi jaan le. jis car se aapka accident hota hai us car ko ya car chalane wale ko third party kaha jayega. Agar aapke pass third party insurance hai or aapka kisi car ka accident ho jata hai .or samne wale car puri tarah se demage ho jate hai. sath mai car driver ko bhi kafi chot lag jate hai to aise condition mai. jis bhi company se usne insurance karwa rakha hai.wo company nuksan ki bharpai karegi.

Matlab aapko kuch ho jata hai ya fir aap ki bhi car damage ho jate hai to company aape nuksan ki bharpai nahi karegi. kyuki aapki third party insurance karwa rakha hai. or is insurance mai sirf third party ki benefit milta hai.

2.  Comprehensive Insurance : Aagar aapne "comprehensive insurance,, karwa rakha hai to isme aapka or samne wala ka dono ka nuksaan ka bhugtaan insurance companies karte hai. Mere hisaab se ye insurance jyada better rahta hai.
Maan lo aagar car accident ho jata hai. Aapki or samne wale ki dono ko car damage ho jate hai. To is insurance claim mai aapko or samne wale ko jo bhi nuksaan hoga uski bharpai insurance company karegi.

Car insurance ke kya kya fayde hai.

Ab main aapko batata hu ki car insurance ke kya kya fayde ho sakte hai. Isliye kahta hu ki vehicle insurances jarur karwaye.

1. Agar aapki car ka accident ho jaye to aap accident proof dekha kar car insurance company se claim le sakte hai. Par isliye liye aapKo car accident le proof sumbit karwane padenge.

2. Maan lo aap kahi ja rahe hai. Raste mai kuch log aapse aapki car chin lete Hain to insurance company Aap ko apki Gadi dhond Ke de gi.

3. Agar aap apne car ka time to time insurance renew karte hai to aapko insurance company discount bhi deti hai.

4. Agar aapki car ka insurance hai to aapko aap ki car ki resell value bhi achi milte hai.

5. Traffic instester bhi aapko car insurance dekhane ke liye bol sakta hai. Agar aapke pass insurance card certificate nahi hoga to to aapko acha khasa fine bhi bharna pad sakta hai.

Car insurance company se claim kaise le.


Ab baat aati hai ki car insurance company se claim kaise le.  Claim lene ke liye aapko kuch documents ki jarurt padegi. Agar aapke pass complete documents hai to aap claim kar sakte hai.


  1. Car insurance documents
  2. Car ki RC
  3. Drivimg liencence
  4. Agar car chori huye hai to car chori ki FIR copy
  5. Agar car ka accident huwa hai to car accidennt ki FIR copy
  6. Car repair karwate ho to car repairing ki receipt bhi aapko dekhi hogi.

Ye sabhi documents aap insurance office mai submit kar de. Fir office se kuch log aapki is file par inquire karenge. Or fir kuch din baad aapko claim ke paise mil jayenge..

Question Answer About Car Insurance.
yaha par main aapko kuch question ke answer de raha hu. ye question jayda tar log puchte hai

Sawal :– Car Insurance kya hai.?

jawab: – Jab hum apni car ke safty ke liye insurance karwate hai to usko car insurance kahte hai..

Sawal :- Online car insurance cover par kitne % discount milta hai ?

Jawab :- Aapko online 5% discount milta hai.

Sawal :– Car Insurance ke time period kitna hota hai ?

Jawab :– Car insurance one year ka hota hai.

Sawal :- Car premium rate kaise fix hote hai ?

Jawab :– Car premium rate car module, manufacturing date , car registered date par decide hote hai.

Sawal :- No bonus claim kya hota hai ?

Jawab :- Jab aap ya koi bhi car owner car insurance time period par koi bhi claim nahi leta to. next time insurance company usko discount deti hai.

Dosto ye the hamari aaj ki post car insurance kya hai or car insurance Kaise Karaye. aagar aapko is post se related kuch puchna hai to comment karke puch sakte hai. hamari is post ko apne dosto ko shath share jarur kare aur aisi post padhne Ke Liye bloggeradsense par visit karte rahye thanks.


YE BHI PADHYE.




Post a Comment

Discussion.
Post a Comment