Top 10 Secret Tips, Blog Par SEO Optimize Articles Kaise Lihke

how to write SEO Optimize Articles on blogger, Blog par seo ready post kaise likhe top ranking ke liye search engine me.

Blog Par New SEO Friendly Post Kaise Likhe, SEO ready Post Likhne ke Tarike, Search Engine Optimize Articles Kaise Likhe, SEO Friendly Articles Kaise Likhe.Top 10 Secret Tips For Blogger And WordPress user. Hello Friends main aapko blog par (SEO Friendly) article likhne ke bare me btaunga. Is article me btayi gayi SEO tips ko follow karke aap blog (Blogger par ho ya wordpress) par search engine optimized content likh sakte ho. SEO kya hai me alrey article likh chuka hu ye bhi read kar lijiye. 

What is SEO Google Beginners Guide To SEO.

Blog-seo-optimize-articles-kaise-likhe
SEO Secret Tips For urdu mein help
Visters.



Jab aap koi post article likhte ho to uska SEO karna zaruri hai taki aapki post google search results me top rank kar sake. Isse aapko jyada visitor milte hai or aapki site ki income bhi increase hoti hai agar aap apni blog ki all new and old post ko seo karna chahate ho to bhi hmara ye article aapke liye useful hai.


So agar aap apni site ko google me top search position par dekhna chahate ho to bloggeradsense ki SEO category wali all posts continue read kiya kare, abhi bhi aapko is blog par kai sari seo post mil jayegi. To chaliye jante hai apne blog par seo friendly post kaise likhte hai?

Blog Par SEO Friendly Articles Kaise Likhe? Top 10 Secret Tips For Blogger.

Blog Website par SEO friendly article kaise likhe ki full information top 10 Secret Tips for urdumeinhelp visters . Post content ko bad me SEO friendly kaise banaye, SEO ready article kaise likhe all information aap Jan jao ge.


#1 .  Post descriptions .

Jab aapGoogle Ya Kiss bhi search engine me post search karte hai to usme title ke just niche post link aur kuch line me word show hote hai vo post ka description hota hai Jo ki seo ke liye bahut important hai. Us me 150 words me Post title aur post ke related hi keyword likha kare.


#2 .  Post Titles.

Aapki post ko search engine friendly seo karne ke liye aapke post ka title ka bahut important role hota hai agar aap apne blog ka title seo karna sikh jate hai to aap aapni post ka 40% seo complete kar lete hai post ke title me kam se kam 1-2 keywords use karne chahiye or title me kuch special word bhi add kare jaise most, popular, top 10, latest etc. Aise word use Kiya kare aur numeric word bhi use Kiya kare titles aur description me.

Secret Tips To Google AdSense Account Approve Kaise Karwaye.

#3.  Blog Post Images.

Jab aap koi post likhte ho to usme aapko image add karne ka option milta hai sabhi blogger apni post Me images use bhi karte hai par kai log apni post image ko seo Optimize nahi karte jisse unko acchi rank nahi mil pati hai so post images ko SEO Optimize Karne ke liye image par click Kar ke Property par press Kar ke images ko bhi SEO Friendly banaye.

Agar aap blog post me koi image add karte hai to vo image copyright nahi honi chahiye or use acchi tarah se design kar ke resize kare or iske bad use post me add kare.


#4.   Internal Links.

Blog post me visitor ko ek post se dusre post par transfer karne ke liye post me apne blog ki dusre dusre post ki link add ki jati hai use internal linking kahte hai.


#5.  Images Alt Tag.

Kisi bhi post ke image ke SEO ke liye title tag or alt tag bahut important hote hai isse google aapki image ko acche se track kar pata hai or aapko better result bhi milte hai jab aap post me photo add karte ho to usme edit ke option me aapko title tag or alt tag use karne ka option milta hai.

Sitemap Kya Hai Aur Kaise Add Kare Webmaster Tools Me.

Isme aap us post se related alt tag use kare or usme main keyword ke sath kuch aur jaruri keywords bhi add kar de isse aapki post ki image bhi seo ready ban jati hai or puri post ko rank karane me help karti hai.


#6 .  Post Heading.

Jab aap post likhte hai to uske paragraph ko samjane ke liye jo title aur headlines use karte hai use heading kahte hai. Isse visitor aapki post ko acche se samaj pate hai.

Blog post editor me H1 – H6 total 6 heading hoti hai jise aap apni jarurat ke hisab se use kar sakte hai ye seo ke liye bahut jaruri hai agar aap heading use nahi karte to post rank hona bahut muskil ho jata hai aapki post ki ranking or visitor ke liye heading ka bahut important role hota hai. Heading ke alawa aap post me highlight words, bold, italic etc. ka bhi use kare, isse content attractive banta hai.


#7 .  Usefully Post Keywords.

Post ko search result me top me lane ke liye keywords ka istmaal karna jaruri hai. Koi bhi visitor search engine me konsa word jyada search karta hai search engine main word ko track kar leta hai vo keywords hote hai.

Aap Google keywords planner ya other kisi bhi tool se apne liye better keyword search kar sakte ho ye aapki post ke seo ke liye bahut jaruri hote hai jab aap post likhte hai to 1st and Last paragraph me jyada keywords ko use kare search engine se high traffic ke liye keywords ka bahut bada role hota hai. So ise na miss kare.

Blogger Post Me Table Of Contents Add Ksrne Ka Tarika.


#8.  Post Words Content Length.

Aapki post ke SEO liye aap kitne word ki post likhte ho ye bahut important hota hai agar aapki post kam word me likhi hui hai to use rank Milne me kafi time lag jata hai ya fir vo kabhi rank nahi ho pati hai.

But agar aap minimum 700-1000 words tak ki post likhte hai to aapki post acche se SEO ready ho jati hai or post rank hone me aasani hoti hai. Ab aap koi bhi post likhe to kam se kam 1000 word jarur use kare.

Note: Articles bada karne ke liye faltu words add naa kare post me Jo important hai vo hi paragraph ki shakal me likhe.


#9 .  Post URL.

Jab aap kisi post ka title likhte ho to uska URL permalink automatic generate ho jata hai par vo seo ke liye utna batter nahi hota iske liye aapko apne post URL ko manually generate karna chahiye. Post URL Jab aap kisi post ka title likhte ho to uska URL permalink automatic generate ho jata hai par vo SEO ke liye utna batter nahi hota iske liye aapko apne post URL ko manually generate karna chahiye.

Blogger Website Me Social Share Button Lagane Ka Tarika.

#10 .  Post Sharing.
Post likhne ke bad sabhi log apni post ko social media par jarur share karte hai jisse ki unke friends ko post ke bare me pata chal sake aur unko better result mil sake jab aap apni post ko social account jaise Facebook, twitter, google+ etc. par share karte hai to isse off page seo hota hai.

Ye aapke visitor badhane ke liye bahut jaruri hai or social media par post share kar ke aap apne blog ki Domain authority or page authority bhi increase kar sakte ho Jo 1st rank ke liye important hoti hai.


Ye thi blog par seo friendly post likhne ki SEO Optimization information. Post me sab kuch short me btaya gaya hai, ummid hai aapko ye jankari pasand aayegi. Agar aapko mera ye article achha lage to ise social media par share jarur kare.

Ye Bhi Padhe :






Post a Comment

Discussion.
Post a Comment